Chaandnee raat guzarney key liye baaqee hai!
Roshanee ab bhi sanwarney key liye baaqee hai!!
Na karo deyr, abra aa gaye hain, aa jaaou!
Nisf shab syaah laharney key liye baaqee hai!!
Khairmaqdam mein shajar sabz khadey hain mushtaaq;
Arsh sey khuld utarney key liye baaqee hai!
Noor aagosh mein daaley naqaab aayegaa:
Husn shaadaab ubharney key liye baaqee hai!
Neend ki baat mat karo, subah to honey do:
Shabnam-e-khulk wikharney key liye baaqee hai!
Kuchh lamhey saath 'abd' key bhi guzaarou ab to!
Raat kyaa ab bhi mukarney key liye baaqee hai?
- abd bundeli
Flyfishing Informationall about Italy